Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2018

Haq hai .. Tera Mujhpar

Haq hai tujhe yun naraz hone ka.. Bin kisi baat ke bhi mujhse rooth jane ka... Mere har nadani, nazayzi pe.. tere mujhe sunane ka.. Haq hai... Ye... Tera mujhpar... Haq hai.. Wo tera mujhko apna kehna... Mere har iradon me, tera shamil hona... Mayusiyon si kali andheri raton ki parchaiyon me.. Subahon ki ujalon jaisa wo tera shamil hona... Haq hai .... Ye ... Tera mujhpar... Haq hai... Mera mujhse se hi chura kar.. Usme kuch khud sa rang jod dena... Phir use khud ka kehna... Haq hai tera ye mujhpar.. haq hai.. Alfazon ki dariya me.. Tere jikr ka mujhse har lamha takrana.. Jin bhi rahon me mai badhu.. Un sari rahon ko apna batana.. Haq hai tera ye... Mujhpar haq hai...

Badhti Ka Naam Jindgi

Har din jindgi ki kitab me 1 panna jud rhe hai.. Kuch panne sunahre to kuch kale andhero sa dikh rahe hai... Sath hi Kuch acha to kuch bura bhi ghat hi rha hai.. Par badti ka naam jindgi hai... Bhali ya buri ye sasuri apni hai.. Koi or kitna bhi Kareeb kyu na ho... Ye khudgarj akeli hi hai.. Isiliye.. Jee lo muskuralo or sajalo in lamho ko.. Kyuki kal jo beeta wo ab bas 1 lamha hai.. Jo kal aayega wo bas sapna hai.. Par jo aaj hai bas wahi apna hai.. Hum kal ho na ho is jahan me.. Ye lamhe hi hai jo aapko yaad aayenge.. Kabhi hasate hasate thode rulayenge.. Par dilon me ye rahate bhar jayenge..

Let's walk ...

Chal kahi chale andhere galiyon se nikal kar, Kahi kisi shar ki talash me, Kisi anjane manjil ki aas me, Jaha tera saath ho, Mere hantho me tera haanth ho, Tere peeche mai..  Mere sangh tera saya ho.. Tu rhe jaha bhi rhe Wahi mera aasra ho..

Uljhe Sawal

Kahi miljao tum Rasto me ... Kuch uljhe se sawal puchna hai... Bin bataye jo chale gaye ho... Un lamho ka jawab lena hai.. Nhi hota hai ye natak muskurane ka... Na hi hass ke sabko hansane ka.. Dil ka jo dard hai...wo kaise byan kare.. 1 tum hi the apne, ab kisko pareshan kare.. Rutha na karo humse yu. Abhi manana seekha nhi hai... Age Nikal aaye tum, Or abhi humne gujre jamane bhule nhi hai... Mana gile shikwe bhut hai tumhe, Bin alfazon ke jakhm bhut hai tumhe... Par ye sab anjane haadse hai... Kabhi maine tumhe Jane me ghaw diye nhi hai..

Pyar ka gharonda.

Asaan nhi yaha pyar ka gharonda banana.. Tinka tinka karke dil ki neew ko baithana.. Samjh ke galeche se us neew ko chhupana... Aur Armano ke rangon se ghar ko sajana.. Samay lagta hai iski buniyadon ko paaw gadane men.. Har lamha samaj ke keechad se isko bachane me... Har kisi se pyar k rangon se saji imarat dekhi nhi jati... Duniya me kaiyon se kisi dusre ki muskurahat muskura ke sahi nhi jaati... Dusron k liye ye gharonda chota sahi, Jharokhon se bhara sahi.. Gam k barishon se bheega sahi... Par un anjano ko koi ye to bataye, Ghar jastabaton ki char diwari hai, Or samjh ki chatt... Khushiyan dekhni hai, To kisi gareeb ki jhuggi me dekho.. Bhukhe pet  sahi par khusiyon ke thikanon ko dekho... Kyuki eet pattar k makon me rhne walon ne, Aksar mujhe apne pathar se dil se milwayaha hai... Agar sochte ho kuch karne ki Apne pyar k ghaonde ko sajane ki... Har lamhe me khul k jeena seekho... Kisi paraye ko khud se jyada apna k dekho... Ishk, pyar, mohabbat, sb iba

Randon Vichars....

Ho chala hu Mai aaj shayrana.. Najane kiski kashish aaj yaha keeche layi hai.. Bin soche jo likhe jaa rhe hai.. Shayad kisi ko phir se aaj meri yaad aayi hai.. Kuch to jajbaat hai jo marte nhi kabhi.. Dil dosti or dushmani se badh kar jo kuch kehte nhi kahi.. Keh bhi den agar ye kuch to... Puri kahani kbhi khte nhi kabhi. Do pal ki jindgi me, Ye dar dar k jeena kya? Kal hum rahe na rhe, Or rhe bhi to kis hal me...or kiske saath na jane kaha rhe.. To phir kal ki soch k apne badhte kadmon ko rokna kya..??? Are jindgi hai, aisi hi hai.. Thodi khatti thodi meethi hai... Chakh lo har swaad is jindgi ke.. Kyuki babu jindgi badi mehngi hai... Acha chalo ab aaj yhi vicharon ko viram dete hai.. Apne dil se aapko aaj ki salam dete hai.. Khush rhna mere doston.. Kyunki khushi hi hai jo har dil ko bepanh aaram deti hai... If you are in a relationship & think you are in love... Then this ones is for you, to read Click Here  .

Are you in love/relationship.? Then this one's for u.

There are some souls that i can't miss .. You know why? Because they are the one that makes my life worth living, and they are the the one whome I always find standing beside me.... Physically...umm..not always..but mentally & emotionally ...hell yess without a doubt. I often hear people saying to their loved ones like " awwwwwww i missss uuuuu sooooooooo much my love". ..  But tell me a thing.. How can you miss someone who is always woth you..I mean, if you truely love someone you can't forget about them, even for a fraction of seconds.. may be they miss the physical interaction but other than that I dont think about a single reason why people are going to miss someone they love. I am not defying the fact that physical relationship is as important as emotional ones but now a days its more of a chilche to say that often to our partners just to remind them that they are being loved... Like really ??? What i personally think is if you are in love what

Yaden...Baaten..Jasbaten

Kal yun hi baithe baithe subah si hogyi, Chand ki chandani na jane kab subah ki dhup ho gyi.. Kisi soch me duba tha mai shayad, Shayad unke hi yaaden the... Kuch hasati kuch ankhon me pani de jati, Kuch suni to kuch ankahi kahani si thi... Yaden jab bhi yaad aati hai unki, Ankhon me pani or labon pe muskurahat chor jati hai. Kya kahe khuda ke is rasmo riwaj ko, Ate jate har musafir ke hasate rulate jasbaat ko, Sarai si ab to lagti hai jindgi, Saath to hai sab par sath koi nhi.... Kya pata tha aisa bhi 1 din aayega, Jinke khandhe pe kabhi hum the, Aaj unko mere kandhe ka sahara diya jayega, Kadam age badhenge par yadon men, Unse jude har lamhe humse takrate jayenge... Mai hun tujhse,  Bin tere mera kya wajood.. Akele pad gya hun rahon main mai, Bin tere sath k jindgi ki khushiyon ka kya wajood, Tere kadmon k nisha dhuntha badh gya hun mai, Ab to bin rasta rahi sa ho gya hun mai... Kash kahi mil jate phir se tum, Jindgi ki in adhuri si rahon men. Phir se jee

Shikwe, Gile & Mohobbate

Shikwe, gile, mohobbate sab tumse hai, Tumse hi khusiyon ki dhup,  Tumse hi tanha raten hain, Tum ho to pyar ki rimjhim fuhare hain, Bin tere ye bas bebas si cheekhte sannate hain.

Khusnasibi

Kuch log kitne khush naseeb hote hai.. Har lamha jinke Kareeb unke ajeej hote hai.. Mil na sake wo har pal do pal me to kya.. Nigahon se dur reh kar bhi wo dil ke Kareeb hote hai...

Tere yaadon ki barat...

Tere haanth ko chum ke, Tere banho me jhuum ke Kahi kisi gali me gum ho kar, Kahi kho jate hum. Un andheri raston me Kuch halke se bashirsho ke baucharo me, kuch bheege se, Kuch sehme se, Thode sharmile se, To thode besharmi se , Tum se hum jaate hum. Aadhe adhure se hum pure ho jate ..  Tum se hum dono , hum ho jate.. Bas hum ho jate. Kuch baaten yaad aati hai har subah jab Dhup mujhe chuu jati hai... To read more click here

Dhup...

Kal subahan chaukhat pe dhup hogi Or honge chadar me hum Wo khatkhatate gi, Kuch badbadayegi, Phir cupke se darwaje ke dararon se Mere kamre me aa jayegi, Mere kandhe pe rakh ke wo sir Kuch pyare se afsane sunayegi, Mai use bhagaunga, Or wo mujhse lipat kar mujhe jagayegi..... If you are doubious... Click here  to read.

Kya tum ab tak anjan ho..???

Dar bas itna hai.. Tum bade nadaan ho, Duniya ki befijul ki baaton se, Ab tak gumnam ho.... Haste muskurate cheharon ne, Jo mukhowte lagaye hai.. Un mukhauton ke peeche chhupe chehron se, Ab tak anjan ho... Khush rehna 1 kala hai.. Kyuki duniya ki har rahon pe gam ka basera hai.... Har koi yaha darta hai apne asli chehre se.. Kya pata tum bhi logon ki asliyat se anjan ho... Kabhi milo in khubsurat  mukhoton walon se, Do kadam chalo saath unke andhre galiyon me..... Haste muskurate or gamon ke lamhon me, Muskurate chehre k peeche dard na dikhe to khna... What we need is a little courage to live the life lively, To read more...  Click Here .

Shak ka koi ilaz nhi...

Shak ka koi ilaz nhi hota..... Bas behisab si bekar se baaton ka batangad hota hai... Kabhi dabi to kabhi kuchli ya na jane kinke muh se suni baaton pe chitan hota hai... Shak hai sahab  bas ho jata hai... Na ispe koi jor chalta hai.. Na hi koi bass chalta hai... Bas dimag chalata hai... Behisab chalta hai... Par ye galatt disha me chalta hai... Are shak hai babu... Bas isis ki chalti hai... Ne dil ki na kisi fact or figure ki... Bad ulte fulte baaton ki ladi chalti hai... Or behisab chalti hai... Waise jaha baat jar, joru or jaydad ki ho... Phir iska koi hisab nhi hota... Unhi baaton men, subah, dopahar or shaamchalta hai... Shak hai yaar, bin kisi baat k bhi ye behisab hota hai.... Kya kahen... Ye na sirf pyar  or jasbaat pe milta hai..... Par ha agar baat par tumko pura wiswas nhi...  Jo ye jindgi men har kadam pe milta hai... Na teri koi galti... Na meri koi mistake... Ye shak hai janab, Chote se chote mauke pe bhi Belishab ho milta hai...

We are Slaves & Masters of our words. (The well-known yet unknown truth)

Nσвσdч cαn tσuch wσrdѕ, вut wσrdѕ dσ tσuch єvєrчвσdч. wє αrє thє mαѕtєr σf σur unѕpσkєn wσrdѕ, αnd ѕlαvє σf σur ѕpσkєn  wσrdѕ. Moving to second love and till confused with feelings..? Click here to read for a simple solution